
Nusrat Mehndi - pahle fan dast-o-gareban hain karan-ta-ba-karan
pahle fan dast-o-garebāñ haiñ karāñ-tā-ba-karāñ
sar-nigūñ baiThī huī hai ḳhaak par urdu zabāñ
kashtī-e-urdu-zabāñ ke nā-ḳhudāo kyā huā
ilm-o-fan sher-o-suḳhan ke rahnumāo kyā huā
kyā huī vo azmateñ kuchh to batāo kyā huā
pīchhe haTtī jā rahī kyuuñ saf-e-charāġharāñ
sar-nigūñ baiThī huī hai ḳhaak par urdu zabāñ
dekhiye jis ko bhī ab to ham-sar-e-ġhālib hai vo
shā.ir-e-āzam hai aur e.azāz kā tālib hai vo
hai ġhalat-go phir bhī har ik sinf meñ saa.ib hai vo
likh rahā hai ḳhud hī apnī azmatoñ kī dāstāñ
sar-nigūñ baiThī huī hai ḳhaak par urdu zabāñ
numberoñ se aur goshoñ se rasā.il bhar ga.e
is zavāl-e-ilm se ḳhud ilm vaale Dar ga.e
naql ne bāzār luuTā asl apne ghar ga.e
be-adab logoñ ne kholī hai adab kī ik dukāñ
sar-nigūñ baiThī huī hai ḳhaak par urdu zabāñ
0 Response to "Nusrat Mehndi - pahle fan dast-o-gareban hain karan-ta-ba-karan"
Post a Comment